Woh din aaega ek baar main Madine jaunga Karne roze ka deedar main Madine jaunga
Shah-e-Madinah rahmat-e-alam nabiyon ke sardar Dekhiye kab dikhlayen apna noorani darbar Main to hoon kab se taiyaar main Madine jaunga
Mujh ko yaqeen hai karam karenge Aamina Bi ke laal Un ko to maloom hai yaaro mere dil ka haal Kehte hain ye dil ke taar main Madine jaunga
Dekh ke mujh aasi ko un ko aa jaega pyaar Noorani chadar mein chhupa lenge us dam Sarkar Le ke jab ashkon ke haar main Madine jaunga
Kya gham hai jakre hue hai doori ki zanjeer Mil jaegi ek din mujh ko khwabon ki taabeer Jis din chahenge Sarkar main Madine jaunga
Dekha nahi un ka dar ab tak kya hoga anjaam Mere dil ki dhadkan mujh ko deti hai paigham Marne se pehle ek baar main Madine jaunga