Ek yahi sahara hai is jahan mein jeene ka Baat kar Madine ki zikr kar Madine ka
Woh tujhe bachayenge paar bhi lagayenge Un pe chhod de kashti gham na kar safine ka
Kyun bhatakta phirta hai puch apne murshid se Woh batayenge tujh ko raasta Madine ka
Chhodkar qadam un ke ud na tu hawaon mein Raasta yahin se hai qurb-e-Haq ke zeene ka
Sehan-e-gulistan mein bhi gulon ki jaan mein bhi Har taraf numayan hai mojiza paseene ka
Aap ke qadam jab se aaye hain Madine mein Zarra zarra roshan hai aaj bhi Madine ka
Ae Aleem chal tu bhi raah le Madine ki Bas wahin se milta hai raaz har khazeene ka