Uthoon jo lahad se rukh-e-anwar nazar aaye Jab aankh khule rooye-Payambar nazar aaye
Ya Rabb mujhe kaunain ka mehwar nazar aaye Mushtaq ko phir Rauza-e-Athar nazar aaye
Barh jaayegi kuch aur meri tishna-nigahi Jab Saqi-e-Kausar lab-e-Kausar nazar aaye
Ho khwab mein mujh ko bhi Shah-e-Deen ki ziyarat Sunta hoon ghulamon ko woh aksar nazar aaye
Mil jaaye jo thodi si jagah koo-e-Nabi mein Banda sag-e-Taiba ke barabar nazar aaye
Ae kaash parhoon naat Madine mein pahunch kar Ae kaash dar-e-Shah par Mazhar nazar aaye