Aao keh zikr-e-husn-e-Shah-e-bahr-o-bar karein Jalway bikher dein, shab-e-gham ki sahar karein
Jo husn mere pesh-e-nazar hai agar usay Jalway bhi dekh lein toh tawaaf-e-nazar karein
Woh chahein toh sadaf ko dur-e-be-baha milay Woh chahein toh khazaf ko hareem-e-gohar karein
Farmayein toh tulu ho maghrib se aaftab Chahein toh ek isharey se shaq-e-qamar karein
Sher-o-adab bhi aah-o-fughaan bhi hai unka faiz Pesh-e-Huzoor ﷺ apni mata-e-hunar karein
Ab ke jo qasd-e-Taibah karein rahbaran-e-shauq Mazhar ؔ ko bhi zaroor shareek-e-safar karein