Balagh al-ula bi kamalah, kashf al-daji bi jamalah Hasanat jami' khusalah, salu 'alayhi wa aalihi Teri zaat mein bhi kamal hai, teri baat mein bhi kamal hai Teri baat ki teri zaat ki nazeer hai na misaal hai Wohi zindagi hai azeez-tar teri yaad mein jo hui basar Wohi yaad bin jo guzar gaya, woh to aik lamha wabal hai Mera shauq jiss mein jawan hua, main Madinah ko jab ravan hua Wohi khoob-tar, wohi behtareen meri zindagani ka saal hai Tere pyaar mein jo fana hua, tera qurb jis ko ata hua Koi Bubakar, koi Farsi, koi Ali, koi Bilal hai Meri jaan se taqreeb hai, main mareez hoon to tabib hai Tera naam hi mera aasra, tera naam hi meri dhaal hai Main hoon ek Nasir benawa, mujhe to ne apna bana liya Mere haal se to ba khabar, teri samne mera haal hai




