Suraj hai tere noor ka par-tau mere Aqa ﷺ Khairat tere husn ki chehra hai qamar ka
Ik aap ka chehra hai to ik aap ki zulfen Itna sa hai mafhoom faqat shaam-o-sahar ka
Mujh aise gunahgar ki us dar pe hazoori Ehsaan hai la raib Shah-e-jin-o-bashar ka
Har waqt tasawwur mein hain jalwe tere dar ke Mujh ko to nahin hosh zara shaam-o-sahar ka
Aayengi kabhi aap ke koche se hawayein Darwaza khula rakhta hoon yeh soch ke ghar ka
Bache bhi hain shaidai teri naat ke Aqa ﷺ Har zarra tere zikr se be-khud mere ghar ka
Mauqoof nahin mujh hi par ae Rehmat-e-Alam ﷺ! Kashkol muradon se bhara aap ne har ka
Parhta hai durood aur salaam aap pe Abid Samaan utha rakha hai, aqba ke safar ka


