Aa gaye Mustafa, Marhaba Marhaba Jhoomti hai fiza, Marhaba Marhaba
Jab wiladat hui mere Sarkar ki Qudsiyon ne kaha: Marhaba Marhaba
Aamad-e-Shah-e-Wala ki sun kar khabar Mominon ne kaha: Marhaba Marhaba
Jal ke marte rahe munkireen-e-Nabi Mominon ki sada: Marhaba Marhaba
Qaryat-e-jaan mein fasl-e-bahaar aa gayi Ghuncha-e-dil khila, Marhaba Marhaba
Naghma-ha-e-tarab gungunaye gaye Saaz-e-aalam chura, Marhaba Marhaba
Ta'iran-e-chaman gungunane lage Zikr-e-Sall-e-Ala, Marhaba Marhaba
Zulmat-e-shab chhati, din huwayda hua Noor-e-Haq aashna, Marhaba Marhaba
Ba'is-e-qurb-e-Haq hai mohabbat teri Aye mere rehnuma, Marhaba Marhaba
Tujh ko maana toh Haq aashkar hua Aye mere rehnuma, Marhaba Marhaba
Hum se aasi chalenge jo sooye haram Kya suroor aayega, Marhaba Marhaba
Koi batlaye jis par ke barsa nahi Abr-e-jood-o-sakha, Marhaba Marhaba
Mujh se aasi ke lab par bhi jaari hui Midhat-e-Mustafa, Marhaba Marhaba
Bazm-e-ushaq mein naat parhta rahe Abid khush-nawa, Marhaba Marhaba


