Labon pe jaari durood-o-salaam ho jaaye Tamaam umr isi mein tamaam ho jaaye
Farogh-e-naat-e-Payambar ﷺ ho basti basti mein Zabaan zabaan pe Muhammad ﷺ ka naam ho jaaye
Saba! Guzar ho Madine ki sarzameen se agar Huzoor-e-Sarwar-e-Aalam ﷺ salaam ho jaaye
Tere karam ke khazaane bhare rahen daayim Karam bhi bheek ho, lutf-e-dawaam ho jaaye
Yazeed-haaye zamaana, na kuch bigaad saken Hussaini uswa jo apna imaam ho jaaye
Samaa saken na meri wus'atein do aalam mein Jo tere shehar ke mangton mein naam ho jaaye
Mere wujood ko tarse mere lahad ki zameen Meri hayaat jo Aaqa ﷺ ke naam ho jaaye
Shahanshaahaan-e-zamaana gadaa banen uske Jo sidq-e-dil se tumhaara ghulaam ho jaaye
Yahi khayaal rakhe hai mujhe hawaaye aaloo-d Mere naseeb mein Kausar ka jaam ho jaaye
Meri zameen pe hai mausam khushk-saali ka Huzoor ﷺ! Baarish-e-lutf-e-dawaam ho jaaye
Tere karam ki bahaaren woh phool bikhraayen Ke dil ka sehra, gulistaan-e-maqaam ho jaaye
Zahe woh shab teri chaukhat pe jo guzar jaaye Khusha woh din ke Madine mein shaam ho jaaye
Tere khayaal ke sooraj ujaal dete hain Raah-e-hayaat mein jis waqt shaam ho jaaye
Yeh barkaten hain Muhammad ke naam ki Aabid Main naam lene na paaun ke kaam ho jaaye
Nabi ﷺ ki naat hi wird-e-zabaan rahe Aabid "Tamaam umr isi mein hi tamaam ho jaaye"


