Sare jag se juda, nirala hai Sab se un ﷺ ka karam bhi bala hai
Al madad, Al aman, mere Aqa ﷺ Poori ummat ko dukh ne ghera hai
Amina ke jigar ke tukde ko Saadiya ne janoon se pala hai
Sab jahanon pe un ﷺ ki rehmat hai Un ke dar pe na koi tala hai
Khod Khuda un ﷺ ki naat kehta hai Baad is ke wohi to aala hai
Mere honthon pe mehke naam un ﷺ ka Woh jo sohna Madine wala hai
Dar-e-Zahra ﷺ se mil gayi khairaat Mera kaasa naseeb wala hai
Un ﷺ pe qurbaan meri jaan Faaniؔ Jin ki rehmat gale ki mala hai