Deed ka nasha mile is kham ko Umr bhar peeta rahun is jaam ko
Aankhein roshan hongi jab deedar se Mustaqil rakhna mere ilhaam ko
Yeh ibaadat har ghadi aankhon ki hai Choomta rehta hoon main is naam ko
Main palat aaya Madine se magar Choomta hoon is dar ko aur is baam ko
Aap ﷺ ne bakhshi faqeeri zindagi Jaan-e-Rahmat ﷺ ne chuna in'aam ko
Aap ﷺ hi jaan-e-hazin ki hain mataa' Jaanta hoon naukrī ke kaam ko
Shifqat-e-Zahraؑ se nisbat hai mujhe Hoon fana Faniؔ mein unke naam ko