Hum jo karte hain irada tera Tu hamare liye apna ban ja
Hai faqat teri tamanna Malik Tu kharidar hamara ban ja
Hain chale teri iradat le kar Tu mere shauk ka milja ban ja
Dil mein taaban hai mohabbat teri Tu bhi mehboob hamara ban ja
Jeete hain teri raza ki khatir Tu bhi is dard ka maawa ban ja
Hum faqat mangte hain tujh ko tujh se Tu bhi is chaah ka Maula ban ja
Hai bharosa jo hamein to tujh par Kaamilan tu bhi hamara ban ja
Hum ne munh mod liya duniya se Tu hamare liye chehra ban ja
Hum to hain apne kiye par naadim Tu bhi Tawwab hamara ban ja
Chahte hain teri qurbat Maula Tu bhi ab dil ka ujala ban ja