Saare ahkaam-e-Khuda jin ﷺ ki zabaan mein aaye Manzilat un ﷺ ki bhala kis ke gumaan mein aaye
Mere Maula ﷺ ka karam, meri zameen ka aezaaz Sab jahanon ke ameen mere jahaan mein aaye
Arsh se amr-o-nawahi ki amaanat le kar Aap ﷺ is kaargah-e-sood-o-ziyaan mein aaye
Aap ﷺ ki zaat hai woh daira-e-wasf-o-kamaal Jo tasawwur mein samaye na gumaan mein aaye
Itna aasaan to nahin aap ﷺ ki seerat ka shaoor Rooh ki raah se guzre to bayaan mein aaye
Aap ﷺ ke zikr ki yeh rif'atein Allah Allah! Naam elaan-e-Khuda ban ke azaan mein aaye
Jin ki taabish mein nazar aayen khado-khaal-e-Huzoor ﷺ Aise anwaar bhi chashm-e-nigaraan mein aaye
Un ke munkir ke liye koi nahin jaaye-panaah Un ke qadmon mein jo pahuche woh amaan mein aaye