Madh-e-Sarkar ﷺ kis tarah ho bayaan Ke yeh nutq-o-nawa ke bas mein kahan
Aur qalam bhi likhe toh kaise likhe Nutq be-jaan, fikr sargardan
Aap ﷺ ki zaat ki kise tafheem Aap ﷺ ke wasf kis se honge bayaan
Aap ﷺ ke zer-e-saya-e-rehmat Manzar-e-hast-o-aalam-o-imkaan
Aap ﷺ ke qaul-o-fe'l-o-husn-e-amal Radd-e-har istemaal-o-wahm-o-gumaan
Tan ki tehzeeb aap ﷺ ki bakhshish Rooh ka rizq aap ﷺ ka ehsaan
Aap ﷺ tatheer-e-nafs-e-ahl-e-safa Aap ﷺ taali-e-qalb-e-darveshaan
Aap ﷺ ki zaat musalmon ki kushood Aap ﷺ ke dam se marhale aasaan
Aap ﷺ ka naam be-kason ka sukoon Aap ﷺ ki zaat be-amaan ki amaan
Charah-e-gham nigah-e-lutf-o-karam Pursish-e-haal dard ka darmaan
Jaan ke dushmanon ke khair talab Na-sipaason ke khair ke khwahan
Rehmat-o-raafat-o-raoof-o-raheem Haami-e-ins-o-jaan, anees-e-jaan
Aap ﷺ sau baar bakhshne wale Aur insaan hai khogar-e-isyaan
Be-shaoori hai aap ﷺ se doori Ae Habib-e-Khuda-e-kaun-o-makaan
Jaan par meri aap ﷺ ke altaaf Be-had-o-be-shumaar-o-be-paayaan
Aap ﷺ ke sadqe kanz-o-maal-o-munaal Aap ﷺ ki zaat par main khud qurbaan
Aap ﷺ haadi hain sab zamaanon ke Ek Mohsin ke sab pe hain ehsaan
Aap ﷺ ki yaad aasmaanon mein Aap ﷺ ka zikr bar-sar-e-gehaan
Farsh par kar raha hai wird koi Arsh par de raha hai koi azaan
Naam-e-naami se goonjti hai faza Ho rahe hain gawah donon jahan
Bhejta hai Khuda durood-o-salaam Bhejte hain salawat karroobiyan
Main bhi shaamil hoon in sadaon mein Jhoom uthe hain jin se kaun-o-makaan
Parh raha hai hama-wajood durood Mil gayi hai ruen-ruen ko zabaan