Ae Muhammad ﷺ ke Rabb Teri sab par nazar Sab ko teri talab Ae Muhammad ﷺ ke Rabb
Junbish-e-chashm-o-lab Gardish-e-roz-o-shab Daur-e-lutf-o-tarab Ahad-e-zer-e-ghazab Ghaib-o-maujood sab Sab hai tere sabab Ae musabbib laqab Juz tere hum ko ab Kis ki hogi talab Ae Muhammad ﷺ ke Rabb
Najm-o-khursheed-o-maah Masjid-o-khanqah Sang-e-dar, sang-e-rah Takht-o-taj-o-kullah Khwaja-e-jaan panah Teri har jalwah-gah Aitibar-e-nigah Matla-e-izz-o-jah Bargah-e-adab Ae Muhammad ﷺ ke Rabb
Bazm tera jamal Razm tera jalal Markaz-e-ittisal Ba-hamah layazal Teri kya ho misaal Bahr-e-har khasta haal Sar-fe-tera khayal Charah-e-har malaal Radd-e-ranj-o-taab Ae Muhammad ﷺ ke Rabb
Kaar-e-dunya-o-deen Yeh makaan yeh makeen Yeh yasar-o-yameen Yeh aasman yeh zameen Yeh sipahr-e-bareen Tujh se sab bil-yaqeen Ae hayat-aafreen Tu kisi se nahi Teri qudrat ajab Ae Muhammad ﷺ ke Rabb
Kya gada-e-haram Kaise Dara-o-Jam Kuch juda, kuch baham Har jabeen besh-o-kam Tere dar par hai kham Tera dast-e-karam Jholiyon ka bharam Ae Khuda-e-Ajam Ae Ilah-e-Arab Ae Muhammad ﷺ ke Rabb
Arsa-e-bahr-o-bar Mazra-e-khushk-o-tar Daur-e-shams-o-qamar Qalb-e-jinn-o-bashar Apne maqdoor bhar Ajz ki rah par Sab hain garm-e-safar Teri sab par nazar Sab ko teri talab Ae Muhammad ﷺ ke Rabb
Hasil-e-justuju Har bun-e-moo mein tu Par-e-lab-e-aab-e-joo Teri hi guftugu Tujh se hai ku-ba-ku Aitibar-e-namu Tera naam nako Phool mein rang-o-bu Barq mein taab-o-tab Ae Muhammad ﷺ ke Rabb
Ae mere kirdigar Kis ko tujh bin qarar Sabza-o-barg-o-baar Khak-o-khashak-e-khar Naghma-khwan-e-bahaar Tera har shahkar Tera sajda-guzar Kya tarah kya khiyar Kya tamr kya inab Ae Muhammad ﷺ ke Rabb
Masdar-e-kainat Teri jumla sifaat Shan-e-izhar-e-zaat Barsar-e-shash jihaat Barq-rau salimaat Zarray ma'a zariyat Manzar-e-mumkinaat Rah-guzar-e-hayat Tujh se roshan hai sab Ae Muhammad ﷺ ke Rabb
Husn-e-be-khal-o-khad Qamat-e-be-jasad Tu azal, tu abad Tu Ahad, tu Samad Raziq-e-neek-o-bad Qadr-e-dad-e-dast-bad Mawara-e-khirad Mustafa ﷺ ek had Ek had bu lahab Ae Muhammad ﷺ ke Rabb
Asr-o-aayaan hain Zeest ki jaan hain Adl-o-ehsaan hain Haq ka irfaan hain Rooh-e-Quran hain Sab ka eeqaan hain Mera imaan hain Teri pehchan hain Tere Taha ﷺ laqab Ae Muhammad ﷺ ke Rabb