Nazar se jab nahan hota hai Rauza Ya RasoolAllah To gham se munh ko aata hai kaleja Ya RasoolAllah
Teri nisbat pe nazan hoon isi nisbat pe maut aaye Yehi to zindagi ka hai asasa Ya RasoolAllah
Woh Khaliq, aap yakta hai tujhe yakta banaya hai Yehi fikr-o-nazar ka hai khulasa Ya RasoolAllah
Sawali ban ke aaya hoon khara hoon aap ke dar par Tawangara hon agar bhar dein yeh kaysa Ya RasoolAllah
Jise takne ki khwahish mein tarapte umr beeti hai Khusha! nazron ke aage hai muwaja Ya RasoolAllah
Wohi Malik jo mu'ti hai tujhe Qasim banaya hai Tere dast-e-karam ka hai yeh sadqa Ya RasoolAllah
Dam-e-aakhir jo putli mein Huzoor! Aasi ka dam hoga To us lamhe dikha dena woh chehra Ya RasoolAllah
Qayamat mein to hogi bas faqat teri shafa'at hi Gunahgaron ki bakhshish ka wasila Ya RasoolAllah
Jaleel un hi ke ghar har lamha khushbu se mehakte hain Ke Sallallahu jin ka ho wazifa Ya RasoolAllah