We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Amad Mustafa Ki Khushi Naat HaiNot Verified

Hafiz Muhammad Abdul Jaleel

'' Aamad-e-Mustafa ﷺ ki khushi naat hai '' Marhaba marhaba! woh ghari naat hai


Khud Khuda ne uthai hai jis ki qasam Mere sarkar ki zindagi naat hai


Ik chatai bichona hai sarkar ﷺ ka Shah-e-konain ﷺ ki saadgi naat hai


Is se aql-o-khirad ko milein wus'atein Roshni naat hai, aagahi naat hai


Hirz-e-jaan gar hui sunnat-e-Mustafa ﷺ Ishq-e-sarkar ﷺ hai, bas yehi naat hai


Bas yehi to sikhaya hai aslaaf ne Momino! hasil-e-zindagi naat hai


Jaan-o-dil ke dariche sabhi khul gaye Kyunke zehnon ki aasoodgi naat hai


Kizb-o-gheebat ka un pe ho kaise guzar Jin labon pe Huzoor! aap ki naat hai


Jab durood un pe hai, sunnat-e-izadi Mominon ka wazifa yehi naat hai


Mit gaye namiyon ke nishan to magar Har jagah, har ghari goonjti naat hai



More Lyrics, Less Storage - Install the App and Ditch the Screenshots!

Get it on Google Play


Izzaton ke khara hai woh minar par Aap ki jis ne Aaqa ﷺ! likhi naat hai

Download Lyrics & Access Offline - Install Our App Now!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah