Nabi ki raah par chalna shari'at naam hai us ka Nabi ke naam par mitna mohabbat naam hai us ka Laab-e-Paak ko haathon pe lena Rukh par mil lena Ghulami us ko kehte hain iqeedat naam hai us ka Jo ho jaye fida un par farishtay ghusl dete hain Yahi hai ishq dil-walo shahadat naam hai us ka Rukh-e-Mehboob nazron se jo ujhal hotay to mar jayein Ise didaar kehte hain ziyaarat naam hai us ka Umar manbar par hain lekin suna di baat lashkar ko Khatibu ghor farmao khitaabat naam hai us ka Muhafiz bheeriyye dekhay Nabi walon ke riwad ke Karamat us ko kehte hain wilayat naam hai us ka Shab-e Hijrat akele hain Ali Aqa ke bistar par Yahi to jaan-thaari hai shuja'at naam hai us ka Sar-e-Arsh Ali Nasir nahi bhule ghulamoon ko Yahi ulfat yahi shafqat hai rahmat naam hai us ka





