Kash main daur-e-Muhammad ﷺ mein uthaya jata Mudda'i laakh bura chahta magar main na mitaya jata
Hota main ashk-e-gham-gusar, aur gham-e-ummat mein Chashm-e-Sarkar ﷺ se Hira mein bahaya jata
Hota main paposh-e-dareeda Mustafa ﷺ ka koi Dast-e-Sarkar ﷺ se phir mujh ko silaya jata
Kash main daur-e-Muhammad ﷺ mein uthaya jata
Hota patthar main nikala gaya khandaq se koi Shiddat-e-bhook se shikam-e-Muhammad ﷺ pe sajaya jata
Hota main ustuwan-e-Hannanah aur masjid-e-Nabwi mein Gham-e-hijr mein rota aur daman-e-Sarkar ﷺ se lagaya jata
Hota main chadar us khush naseeb kapray ki Jo ehtram-e-Halima mein dast-e-Sarkar ﷺ se bichaya jata
Kash main daur-e-Muhammad ﷺ mein uthaya jata
Hota kankar mein koi Madinah ki gali koochon ka Mo'jaza-e-Sarkar ﷺ se kalma mujh ko parhaya jata
Hota main shajar-e-tanawar Madinah mein koi Angusht-e-Sarkar ﷺ se mujh ko bulaya jata
Hota main shamshir-e-Muhammad ﷺ aur bapa hota yaum-e-Badr Dast-e-Sarkar ﷺ se a'da par mujh ko chalaya jata
Kash main daur-e-Muhammad ﷺ mein uthaya jata
Hota main eent koi Rauza-e-Aqdas ki Duniya ho jati fana, main jannat mein uthaya jata
Hota main koi awara badal shahar-e-Madinah mein Ayyam-e-qaht mein hukm-e-Sarkar ﷺ se barsaya jata
Hota mitti mein khush naseeb lahad-e-anwar ki Madine mein Phir wastay-e-aram ke Mehboob-e-Khuda ﷺ ko mujh par sulaya jata
Kash main daur-e-Muhammad ﷺ mein uthaya jata
Hota main ehd-e-Muhammad ﷺ aur kiya jata kisi kafir se Ba-Khuda din raat khara ho ke chauk-e-Madinah mein nibhaya jata
Hota makri mein ghar-e-Thaur mein shab-e-hijrat Wastay-e-Sarkar ﷺ ke mujh se jala bhi bunwaya jata
Kash main daur-e-Muhammad ﷺ mein uthaya jata
Hota tukra main kisi sookhi roti ka aur Sha'b-e-Abi Talib mein Nazuk dandan-e-Sarkar ﷺ se mujh ko chabaya jata
Hota laiq-e-atuflat-e-Sarkar ﷺ kabhi na be-zar mein! Gar kafalat-e-kam zar ka wada Sarkar ﷺ ne na nibhaya jata
Hota main na'lain-e-Muhammad ﷺ aur Meraj ki shab Shafqatؔ Jibreel Sidra-nasheen rehte aur main Arsh pe le jaya jata


