Dujahan ke wali ka dujahan pe saya hai Un ko to Khuda ne un ki marzi se banaya hai
Noori noori talwe hain kaise pyare jalwe hain Chand jin ke jalwon ki bheek lene aaya hai
Nabiyon ne salami di waliyon ne ghulami ki Sar pe un ke Khaliq ne taj woh sajaya hai
Karte hain jafayein jo dete hain duayein woh Seene se lagaya us ko jis ne bhi sataya hai
Mauj mein jab aate hain tajwar banate hain Sab pe hai karam Nasir apna ya paraya hai





