Mere leh-n-o-lehja mein gohar-o-khabar mein aa Rahmat-e-Khuda! Meri nudrat-e-hunar mein aa
Tere naam ki barkat se karoon safar aaghaz Raah raah andar mil aur safar safar mein aa
Hairati zameeno ka raaziyaab kar mujh ko Shiddat-e-hawa-e-hub mere baal-o-par mein aa
Khalwat-e-tahajjud ki khamoshi! Sahara ban Noor ban baseerat ka, baatin-e-nazar mein aa
Yaad-e-Haq Ta'ala! Har kulfat-o-aziyat mein Sabr ban ke tu mere qalb-e-muntashir mein aa
Subh-e-fath ki timsaal rooh mein ujaala kar Mujdah-e-tarab shaam-e-nusrat-o-zafar mein aa
Koi ek pal aisa jo amar ho mil jaaye Ajr-e-jawidaan le kar umr-e-mukhtasar mein aa
Izn-e-Rabb se taseer-o-shaadmani darwa'n Mere ghar ki raunaq ban mere sehan-o-dar mein aa
Rabb-e-Aayat-e-Iqra ki madeeh ka hai qasd Lafz-o-ma'ni matloob! Tarz-e-muntazar mein aa





