Zindagi yaad-e-Madinah mein guzari sari Umr bhar ki hai kamai yeh hamari sari
Dekh kar khuld-e-bareen dil ne kaha yeh foran Kis ne tasveer-e-Madine ki utari sari
Aisa Allah ne Sultan banaya tujh ko Rab ki makhlooq hui teri bhikari sari
Aap ke ek ishare pe Khuda bakhshe ga Baat ban jaye gi mahshar mein hamari sari
Garcha bigdi hui baatein hain hamari sari Baat ban jaye gi mahshar mein hamari sari
Hon ge duniya mein kai aur sakhi bhi Sajid Un ke dar tak hai faqat daur hamari sari