Zikr-e-Sarwar mein mujhe khoya rehne do Is pe duniya jo khafa hai to khafa rehne do
Arshiyon ne jo deewane ko hatana chaha Muskura kar mere Aaqa ﷺ ne kaha, rehne do
Kya hai darkaar jo poochhenge shaha mahshar mein Main kahoon ga, mujhe qadmon mein pada rehne do
Hai Muhammad ﷺ ka wazeefa hi zabaan par har dam Bas mujhe naam-e-Muhammad ﷺ mein fana rehne do
Tum bhi khilaoge sardar zamane bhar mein Sar dar-e-Shah pe kuch der jhuka rehne do