Sarkar-e-Do-Alam ke rukh-e-anwar ka aalam kya hoga Jab zulf ka zikr hai Quran mein rukhsar ka aalam kya hoga
Mehboob-e-Khuda ke jalwon se imaan ki aankhein roshan hain Be-dekhe jab yeh aalam hai deedar ka aalam kya hoga
Jab un ke gada bhar dete hain shahan-e-zamana ki jholi Mohtaj ki jab yeh halat hai mukhtar ka aalam kya hoga
Hai naam mein un ke itna asar jee uthte hain murde bhi sun kar Woh haal agar khud hi poochein bimar ka aalam kya hoga
Jab un ke ghulamon ke dar par jhukte hain salateen-e-aalam Phir koi bataye Aaqa ke darbar ka aalam kya hoga
Jab sun ke Sahaba ki baatein kuffar musalman hote hain Phir donon jahan ke Sarwar ki guftar ka aalam kya hoga
Taiba se hawa jab aati hai Baikal ko sukoon mil jata hai Is paar ka jab yeh aalam hai us paar ka aalam kya hoga