Zameen roshan zamaan roshan makaan roshan Rukh Ahmed ke sidqe meN hoye donon jahan roshan
Nabi ke noor-ke jhalay zameen par aasmaanon par Isi se Aftaab o Maah roshan, keh-kashaan roshan
Rakhā ism Muhammadؐ jab bhi main ne apne honton par Hoyee sheereen zabaan meri bana mera bayan roshan
Mohabbat jin ke dil mein Mustafa ki jalwa farmaa hai Rahenge Hashratak un khush-naseebon ke nishaan roshan
Ujala zindagi mein wa al-duha ke noor ki barkat Unhein ki rahmaton se kaakh roshan, aashiyaan roshan
Tawajah gar na farmate mere pyare Nabiؐ mujh par Andheri qabar thi meri, bhala hoti kahaan roshan
Jhalak main bhi to dekhun ga rukh-e-Anwar ki hamzali Duaon ko karegi jab meri aah o faghaan roshan


