Yeh kis azaab mein jaan hai Muhammad ﷺ Arabi Yeh kis ko khoon-e-rawaan hai Muhammad ﷺ Arabi
Yeh kis pe aayi hui hai ghari qayamat ki Yeh kaun waqf-e-fughaan hai Muhammad ﷺ Arabi
Yeh kis ke ghar mein hai maatam yeh kis ki aankh hai nam Yeh kaun raqs-kunaan hai Muhammad ﷺ Arabi
Tere diyaar-e-muqaddas pe saaye ghairon ke Yeh kitne dukh ka samaan hai Muhammad ﷺ Arabi
Khata muaaf tere be-nawa ghareebon ki Sukoon jahaan mein kahan hai Muhammad ﷺ Arabi
Jahaan ko hona hai ek roz gosh-bar-aawaaz Nawa-e-gham-zadagaan hai Muhammad ﷺ Arabi