We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Yeh Duniya Ik Samandar HaiNot Verified

Zahid Fakhri

Yeh duniya ik samundar hai magar sahil Madinah hai Har-ik mauj-e-bala ki raah mein hail Madinah hai


Zamana dhoop hai aur chhaon hai bas ek basti mein Yeh dhoop jal ke bujh jaati magar shamil Madinah hai


Madine ke musafir tujh pe mere jaan-o-dil qurban Teri aankhein batati hain teri manzil Madinah hai


Sharaf mujh ko bhi hasil hai Muhammad ﷺ ki ghulami ka Woh mere dil mein rehte hain mera dil Madinah hai


Jahan ushshaq baste hain woh basti un ki basti hai Jahan bhi zikr un ka ho wahi mehfil Madinah hai



Download Lyrics & Access Offline - Install Our App Now!

Get it on Google Play


Karam itna hai Fakhri un ki zaat-e-paak ka mujh par Main itni door hoon lekin mujhe hasil Madinah hai

Offline Lyrics Anytime, Anywhere - Download the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah