Un ki yaadon ko jo seene mein basa lete hain Apne daaman mein unhi Aqa chhupa lete hain
Door rehte hain Madine se jo Aqa ke ghulam Apne seenon ko Madinah woh bana lete hain
Yaad aati hain Madine ki bahaarein jab bhi Chashm-e-bechain se chand ashk baha lete hain
Jin ke honton pe mehakti hai duroodon ki sada Khuld mein apni jagah aur badha lete hain
Jab bhi aata hai nazar naqsh-e-kaf-e-pa un ka Apni gardan ko wahin hum toh jhuka lete hain
Un ke dene ka hai andaaz niraala sab se Lene walon se yeh poocho ke woh kya dete hain
Un ki azmat ke parastaar yeh insaan hi nahin Woh toh patthar ko bhi goya sikha dete hain
Maal-o-daulat ki nahin shart wahan par Nasir Jis ko chaahein woh Madine mein bula lete hain