Tan mann vaara jis ne dekha chehra Kamli-wale ka Ae Maula ek baar dikha de jalva Kamli-wale ka
Ghaus, Qutub, Abdal, Qalandar sab un ke gun gaate hain Farsh-e-zameen par arsh-e-bareen par charcha Kamli-wale ka
Har naat deta hai Khuda par vaar ke un par deta hai Khaata hai yeh aalam saara sadqa Kamli-wale ka
Hogi talab teri na poori door karenge woh doori InshaAllah hum dekhenge roza Kamli-wale ka
Aal-e-Nabi aulaad-e-Ali ki shaan badhai Allah ne Kitna aala kitna baala kunba Kamli-wale ka
Qabr mein jab poochenge farishte apna taaruf pesh karo Keh doon ga ke main to hoon bas mangta Kamli-wale ka
Kyun ho Nazish khauf-e-mahshar geet Nabi ke gaate hain Apni zubaan par hashr mein hoga naara Kamli-wale ka