Ho jaate hain khud raste hamwar Madine ke Bulwate hain jab Shah-e-Abrar Madine ke
Kyun kar na falak ko bhi us shahar pe rashk aaye Baste hain Madine mein mukhtar Madine ke
Aankhon ko ata hoga sarmaya-e-binai Bakhishein ge jala dil ko anwar Madine ke
Barson ki ibadat ka hasil hai har ek lamha Sau saal pe bhari hain din chaar Madine ke
Is daur-e-muqaddas ki yadon ke tasawwur mein Dekhein ge zara chal kar bazaar Madine ke
Ae bakht-e-rasa khush ho bakhshish ki ghadi aayi Woh dekh nazar aaye minar Madine ke
Behtar hai kisi gul se kanta rah-e-Taiba ka Jannat se haseen tar hain gulzar Madine ke
Apnon ka muqaddar hai Irfan ki yeh daulat Ghairon pe nahin khulte asrar Madine ke
Tum lakh mita daalo dharti se unhein lekin Mehfooz hain zehnon mein asar Madine ke
Aaqa ki sanaon mein kat jaaye safar achha Mil jaein agar saathi do chaar Madine ke
Ae dev-e-hawas mujh par kya zor chale tera Rehte hain mere dil mein dildar Madine ke
Phir us ko nahin rehti hasrat kisi manzar ki Ho jaein jise hasil deedar Madine ke
Hai tarfa mizaj un ka deedar ilaj un ka Isa se na achhe hon bimar Madine ke
Yeh aab-e-najas uthwa yeh jaam-o-subu le ja Peete hain Madine ki may-khwar Madine ke
Is aas pe baitha hoon muddat se Naseer ab tak Shayad kabhi bulwa lein Sarkar Madine ke