Tajdar-e-Haram ho nigah-e-karam hum ghareebon ke din bhi sanwar jayenge Hadi-e-bekasan! Kya kahe ga jahan aap ke dar se khaali agar jayenge
Khauf-e-toofan hai aandhiyon ka hai gham, sakht mushkil hai Aaqa kidhar jayen hum Aap hi gar na lenge hamari khabar, hum museebat ke maare kidhar jayenge
Dar pe Saqi-e-Kauthar ke peene chalen, mai-kasho aao aao Madine chalen Yaad rakho, agar uth gayi ik nazar, jitne khaali hain sab jaam bhar jayenge
Koi apna nahi gham ke maare hain hum, aap ke dar pe fariyaad laye hain hum Ho nigah-e-karam warna chaukhat pe hum, aap ka naam le le kar mar jayenge
Aap ke dar se koi na khaali gaya, apne daaman ko bhar ke sawali gaya Ho Payam-e-Hazin par bhi Aaqa karam, warna auraq-e-hasti bikhar jayenge