Shi'aar-e-zikr-e-Khuda na chhoro, tumhara yeh gham-gusaar hoga Usi se taskeen-e-rooh hogi, usi se dil ko qaraar hoga
Agarcha husn-e-kasb se tera mujahidon mein shumar hoga Kya ho pakeeza jis ne dil ko safeena us ka hi paar hoga
Khuda ke bando Khuda se tum ko lagao dil ka hazaar hoga Nabi ki jo pairwi kare ga usi se Allah ko pyaar hoga
Khalil agar phenkte hain kankar to farz-e-rami-e-jamar hoga Habib agar phenkte hain kankar to fe'l-e-Parwardigar hoga
Na chhor hargiz adab ka daaman, usi se to kaam-kaar hoga Agar na samjhe ga Ra'ina ko to kafiron mein shumar hoga
Adab jo chhoota to yaad rakh tu, tujhe khabar bhi na ho sake gi Ke tera sara libaas-e-taqwa kuch is tarah taar taar hoga
Gunah-garo Madinah jao, wahan shifa'at ki bheek pao Jahan pe taubah qabool hogi woh Mustafa ka darbaar hoga
Khuda ke bando Khuda Nabi ke bulaye jaane pe daur aao Ita'at un ki tumhare haq mein payam-e-fasl-e-bahaar hoga
Rasool ﷺ ke jo khilaf jaaye, jo raah apni alag banaye bhale musalman woh kahaye, thikana us ka to naar hoga
Rasool-e-Akram the durr-e-yakta, za-Khuda ne un ko nikhaar dala Jo dast-e-qudrat ka ho nikhara woh kis qadr shahkaar hoga
Khuda ne Asra bi'abdihi ka nazara mi'raj mein karaya Buraq masroor tha ke us par Khuda ka mehman sawaar hoga
Khuda ne farma diya Nabi ﷺ se, tu ho ga mehfooz har kisi se Mere Nabi ﷺ teri chaar janib meri nazar ka hisaar hoga
Nabi ﷺ ke ghar mein talab pe aao, ta'am hote hi laut jao Tumhara baton mein baith jana mizaj-e-nazuk pe baar hoga
Sha'air-e-Kibriya ki azmat, dilon ke taqwe ki hai alamat Rahe na baqi jo dil mein taqwa, amal ka kya e'tibar hoga
Khuda ne tabdeel kar ke Qibla Habib-e-Akram ﷺ se yeh jataya Habib ﷺ mere! meri raza ka teri raza par madar hoga
Jo koi momin bana hua ho to khwah koi mamla ho Nabi ki marzi ke aage Ahmadؔ na us ko phir ikhtiyar hoga