Nabi ﷺ se dil ko tasalli dila ke laut aaya Dubaara jaane ko mumkin bana ke laut aaya
Nazaare dekh ke us ki sakha ke laut aaya Khilaya us ne bohat kuch, main kha ke laut aaya
Kuch itna loota ke kaase bhara ke laut aaya Junoon mein loota, khirad ko luta ke laut aaya
Suna tha sunte hain Sarkar ﷺ apne bandon ki So sunne waale ko apni suna ke laut aaya
Suna tha shehr-e-Madinah hai noor ka mehbat Gali gali mein gaya, aazma ke laut aaya
Pata tha mujh ko ke hai mujh ko lautna ik din Mazey uda ke wahan ki fiza ke laut aaya
Nabi ke shehr mein bas jaana mere bas mein na tha Tha bas mein ashk bahaana, baha ke laut aaya
Ghareeq-e-ranj-o-alam ho ke jee raha tha yahan Madinah ja ke har ik gham bhula ke laut aaya
Karam huzoor ﷺ ka Ahmad tere talash mein hai Tu jab se baab-e-karam khatkhata ke laut aaya