We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Nakhal e Fun Hai

Muhammad Sabtain Shah

Nakhl-e-fan hai na paat ki khushbu Dil mein hai un ki baat ki khushbu


Woh wali hai ho jis ke daaman mein Un ؑ ki aala sifaat ki khushbu


Gunbad-e-sabz ka tasdeeq hai Kainaat-e-hayaat ki khushbu


Kaal-e-Shah-e-do-sara ki qasam Har taraf un ki zaat ki khushbu


Un se roshan hain aasman-o-zameen Un se hai kainaat ki khushbu


Shah-e-Mi'raj se mehakti hai Shaam ki, din ki, raat ki khushbu


Saikron jannaton se afzal hai Un ke ek iltifaat ki khushbu



Free Up Space - Get Lyrics Without Bulky Screenshots!

Get it on Google Play


Dil mein hain zikr-e-Haq se mehkaarein Zehan mein un ki baat ki khushbu


Ta-abad harf ki mehak un se Har sadi ab hai naat ki khushbu


Wird-e-Shah-e-huda ka sadqa hai Mere saum-o-salawaat ki khushbu


Baagh-e-Bat-ha se mujh ko aati hai Marghazaar-e-najaat ki khushbu


Gunbad-e-sabz ki zakaat samajh Khuld ke paat paat ki khushbu


Un ke irshaad se muattar hai Kya qalam kya dawaat ki khushbu


Shah Sabir se main ne paayi hai Shah-e-aala sifaat ki khushbu


Subh-e-Milad se mili Sibtain ؔ Hum ko lail-e-baraat ki khushbu

Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah