Nakhl-e-fan hai na paat ki khushbu Dil mein hai un ki baat ki khushbu
Woh wali hai ho jis ke daaman mein Un ﷺ ki aala sifaat ki khushbu
Gumbad-e-sabz ka tasadduq hai Kainaat-e-hayaat ki khushbu
Dhikr-e-Ahmad ﷺ hai meri saanson mein Har nafas hai hayaat ki khushbu
Kaakul-e-Shah-e-do-sara ki qasam Har taraf un ki zaat ki khushbu
Un se roshan hain aasman-o-zameen Un se hai kainaat ki khushbu
Shah-e-Meraj se mehakti hai Shaam ki, din ki, raat ki khushbu
Saikron jannaton se afzal hai Un ke ek iltifaat ki khushbu
Dil mein hain dhikr-e-Haq se mehkaarein Zehan mein un ki baat ki khushbu
Ta-abad harf ki mehak un se Har sadi ab hai naat ki khushbu
Wird-e-Shah-e-huda ka sadqa hai Mere saum-o-salawaat ki khushbu