Nabz rukti hai mera saans chalta hi nahin Gar na ho zikr-e-Nabi dil dhadakta hi nahin
Jaan-o-dil tujh pe fida ke azaan teri Bilal Aasmaan gar na sunay din nikalta hi nahin
Jab se laut aaya hoon main dekh kar shehr-e-Nabi Tab se jannat ke liye dil machalta hi nahin
Le ke jo ishq-e-Nabi qabr mein utar gaya Zinda hai zinda kabhi woh toh marta hi nahin
Jab se thaama hai mujhe un ki rehmat ne Sameer Reza reza hoon magar main bikharta hi nahin