Hum ne seene mein Madinah yun basa rakha hai Aks-e-dil Gumbad-e-Khizra ka bana rakha hai
Waar do jaan mein Taha ki haseen aankhon par Donon aalam ko hi deewana bana rakha hai
Bas isi zaat se hai donon jahan mein raunaq Ik Muhammad ﷺ ke siwa duniya mein kya rakha hai
Kufr hai gar tu kahe murda mere Aaqa ﷺ ko Woh toh zinda hain faqat parda gira rakha hai
Woh thikane hain deewanon ko Khuda ne bakhshe Hai wahan khuld yahan Taiba bana rakha hai
Sar kata kar woh tilawat bhi kiya karte hain Jin ko Quran mere Aaqa ﷺ ne padha rakha hai
Aa hi jaate hain woh deewanon se milne ko Sameer Bas isi aas pe darwaza khula rakha hai