Nabi zamane mein aaye lakhon, koi na teri misaal dekha Haseen dekhe, jameel dekhe, kahin na tujh sa jamaal dekha
Baroz-e-mahshar, waqt-e-pursish, khade hain hairan sabhi paighambar Maqam-e-Mahmood par jo teri, shafa'aton ka kamaal dekha
Woh kya ghadi thi, woh kya samaan tha, shab-e-wiladat saja jahan tha Falak ne aisa kabhi bhi pehle, kahan tha yeh maah-o-saal dekha
Na pooch mere Nabi ﷺ ki azmat, hain aalameen jin ke zer-e-rehmat Ke un ki chaukhat pe do-jahan ko, bane sarapa sawal dekha
Huzoor ﷺ ke naam mein shifa hai, har ek alam ki yahi dawa hai Hai jis ne pakda Nabi ﷺ ka daaman, na mubtala-e-wabal dekha
Nujoom ban kar jahan mein bikhre, ghulam saare Nabi ﷺ ke pyare Kahin chamakta Owais-e-Qarni kahin damakta Bilal dekha
Durood un par salam un par, Raza padhe jao tum barabar Yahi wazifa hai jis ke sadqe, hijar ne aakhir wisaal dekha