Nabi ﷺ kaun ya’ni Rasool-e-Kareem ﷺ Nabuwat ke darya ka dur-e-yateem
Hua go ke zahir mein ummi laqab Pe ilm-e-ladunni khula dil pe sab
Baghair az likhay aur kiye be-raqam Chalay hukm par us ke loh-o-qalam
Kiya Haq ne nabiyon ka sardar usay Banaya nabuwat ka haqdar usay
Likha Ashraf-un-Naas Khair-ul-Anaam Banaya samajh boojh kar khoob usay
Karoon us ke rutbay ka kya main bayaan Kharay hon jahan baandh saf mursalaan
Muhammad ﷺ ke manind jag mein nahin Hua hai na aisa na ho ga kahin