Milad ki ratiya dhoom yeh thi ik raj dulara aavat hai Lolaak ka sehra sar sohat woh Ahmad pyara aavat hai
Hooron ne kaha jab Bismillah, ghilman ne pukara Illallah Khud Rab ne kaha MashaAllah mehboob hamara aavat hai
Jibreel-e-Ameen yeh kehte chale ae arshiyo! tumre bhaag jage Tazeem ko sab ho jao khade sardar tumhara aavat hai
Yaseen ki chamak daatan mein Taha ka karishma aankhan mein Wal-fajr ka jalwa gaalan mein woh arsh ka tara aavat hai
Ma zag ka kajla nain bhare Wal-shams ka batna mukh pe male Hai Meem ka ghoonghat sehre tale woh Rab ka sanwara aavat hai
Dharti se utha aafaq chadha Mumtaz yeh ghul tha charon taraf Lo haq se milne Sall-e-ala sardar hamara aavat hai