Meraj ki rattiyan dhoom yeh thi Ik raaj dulara aavat hai Lolaak ka sehra sar sohat Woh Ahmad pyara aavat hai
Hooron ne kaha jab bismillah, Gulmaan ne pukara Illallah Khud Rab ne kaha MashaAllah Mehboob hamara aavat hai
Jibreel-e-Ameen yeh kehte chale Are arshiyo! tumre bhaag jage Tazeem ko sab ho jao khade Sardaar tumhara aavat hai
Yaseen ki chamak hai daantan mein Taha ka karishma aankhan mein Wal-fajr ka jalwa gaalan mein Woh arsh ka taara aavat hai
Mazaagh ka kajla nain bhare, Wal-shams ka batna mukh pe male Hai Meem ka ghoonghat sehre tale, Woh Rab ka sanwara aavat hai
Dharti hai utha aafaak chadha Mumtaz yeh ghul tha charon taraf Lo Haq se milne Salli-ala Sardaar hamara aavat hai