Midhat ki hai taufiq, silah madh-e-Nabi ka Sad shukr, phir a'zaaz mila madh-e-Nabi ka
Jis waqt ke takhleeq hui noor-e-Nabi ka Us waqt hi aaghaz hua madh-e-Nabi ka
Kis shaan se Mehboob ki rif'at ka bayaan hai Quran hai mayaar sada madh-e-Nabi ka
Kya hilm-o-haya, jood-o-sakha, rahmat-o-rif'at Har wasf hai ik baab juda madh-e-Nabi ka
Midhat ki jo bunyaad ho jazbay ki sadaqat Har harf gohar se ho sawa madh-e-Nabi ka
Aaqa ke ghulamon se ta'alluq bhi sharaf hai Apna to ta'alluq bhi hua madh-e-Nabi ka
Is shaan ke shaayaan hai kahan nazr hamari Mumkin hai kahan haq ho ada madh-e-Nabi ka
Khwahish hai yahi Arsh ke jo sher likhoon main Tahmeed-e-Ilahi ka ho ya madh-e-Nabi ka