Mere Aaqaؐ! Yeh zaboon haali ummat dekhein Ranj-o-aalaam se bigdi hui halat dekhein Kis ko hum dard ke afsane sunayein tum bin Saari aqwaam mein barhti hui zillat dekhein
Aaj Islam bohat girya kunaan hai Aaqa! Karbala walon ko phir us ne sadaein di hain Is ke atraaf mein jaltay hain woh sholay jin ko Ghair to ghair hain apno ne hawaein di hain
Ittehaad aur ukhuwwat hui anqa aisay Aaj bikhray huay tasbeeh ke sab daanay hain Tishnagi barhti chali jaati hai lamha lamha Ab kidhar jaayein ke ujray huay maikhanay hain
Zindagi dard ke saanchay mein dhali hai sab ki Amn aur chain ki ghanghor ghataein bhejein In nahin taab ke sehraon ki garmi seh lein Shehr-e-Tayyaba ki woh yakh basta hawaein bhejein
Bujh gayin ishq ki jalti hui qandeelein bhi Kitni sadiyon se shab-e-taareeyan chhayi hai Husn-e-aamaal se khaali hain hamaray daaman Zulmat-e-waqt rag-e-jaan mein bhi dar aayi hai
Shehr-e-zulmaat mein haan ek diya hai roshan Apne faizan se taabaan yeh ujaalay rakhna Tundi-e-baad-e-mukhalif na bujhanay paaye! Mere Qaid meray Tahir ko sambhalay rakhna