Maula-e-Kainat ki be-kas nawaziyan Us ne mizaj-e-faqr ko dein be-naziyan
Taseer-e-iltifat-e-Rasool ﷺ inaam dekh Fikr-e-Ajam mein hai tab-o-tab-e-Hijaziyan
Maidan-e-Badr ho ke masaf-e-Hunain ho Us ki nazar hai quwwat-e-bazoo-e-ghaziyan
Afkar-e-Mustafa ﷺ se farogh-e-hayat hai Baqi tamam falsafa ki sheesha-baziyan
Jannat ko intezar-e-wurood-e-Rasool ﷺ hai Us ke naqoosh-e-pa se hain mainoo-traziyan
Taif ke sabza-zaar se aankhon ko de sakoon Phir yaad kar Huzoor ﷺ ki woh jaan-gudaziyan
Dargah mein qabool sana se hai yeh murad Darain mein faqr milein sarfaraziyan