Bakhsha sukoon huzoor ﷺ ke faizan-e-aam ne Dekha sahar ka noor zamane ki shaam ne
Pairaya-e-hayat hai sarmaya-e-najat Paigham jo diya hai rasool ﷺ-e-anaam ne
Yun dekhte hain roza-e-athar ko ahl-e-dil Goya janab-e-sarwar ﷺ-e-aalam hon saamne
Shayan-e-bargah-e-Payambar ﷺ na thi fughan Aansu bana diya hai usey ehtram ne
Tamheed-e-iltifat bani laghzish-e-qadam Aaya jab un ka dast-e-karam mujh ko thaamne
Mehboob ﷺ-e-Kibriya ki hayat-e-jameel se Paya hai iftikhar baqa-e-dawam ne
Sarkar ﷺ ki nigah-e-karam hai faqeer par Sarkar ki sana jo likhi hai ghulam ne