Main khuld chhor ke teri gali qabool karoon Khuda kare ki main har baar aisi bhool karoon
Mere naseeb jagane jo tu chala aaye Main apni jaa teri rahguzar ki dhool karoon
Khuda kare jo Madine ki haziri ho naseeb Dil-o-nazar se tawaf-e-dar-e-Rasool karoon
Teri adayen, wafayen, atayen yaad paren Main tere gham mein hamesha jigar malool karoon
Woh meh-liqa jo mujhe izn-e-baryabi de Main umr bhar ki nawaoon ka zar wasool karoon
Kabhi main Noorؔ jo bazaar-e-ishq mein pahunchoon Main laakh jaan ko bhi ik jhalak ka mol karoon