Daulat-e-khushk-o-tar dekhte reh gaye Hum tere baam-o-dar dekhte reh gaye
Un ke lab se jhare maarifat ke woh phool Arab ke sukhanwar dekhte reh gaye
Tere mukhre ke zaair Khuda ki qasam Apne Rab ka hunar dekhte reh gaye
Deen-o-duniya ki jin ko qayadat mili Ve tera rehguzar dekhte reh gaye
Saare tajir zamane mein zulmaat ke Ho gayi jo sahar dekhte reh gaye
Tujh ko Haq se mili woh ajab roshni Najm shams-o-qamar dekhte reh gaye
Tere na'lain kitne hue mohtaram saare jinn-o-bashar dekhte reh gaye
Noor par jo hua Mustafa ﷺ ka karam saare ahl-e-nazar dekhte reh gaye