Lab pe jab naat aagayi hai Shaakh-e-jaan bhi mahak uthi hai
Aap ﷺ ki guftagu mein aakar Harf ko roshni mili hai
Khushbu-e-khaak-e-paay-e-aqdas Lala-o-gul mein bas rahi hai
Khuld ki raah, do jahan par Un ﷺ par imaan se khuli hai
Qaswa ka bhi naseeb jaaga Aap ﷺ ki hum-safar bani hai
Aagayi baad-e-nau-bahaari Zindagi phool phal rahi hai
Rashk se thaamna para dil Thaur par jab nazar pari hai
Aaeena-e-dahr mein furozaan Roshni un ﷺ ke naam ki hai
Qaafile ja chuke Madine Hasrat ek dil mein reh gayi hai