Khud Rabb-e-do jahan hai khareedar-e-Mustafa ﷺ Dekhe to koi garmi-e-bazaar-e-Mustafa ﷺ
Laaun kahan se shahpar-e-Jibreel ki udaan Dil kheench raha hai janib-e-darbar-e-Mustafa ﷺ
Peer-e-mughan! sambhal ke adab ka maqam hai Aate hain maikade mein qadah khwar-e-Mustafa ﷺ
Ghar-e-Hira se karb-o-bala ke maqam tak Deeda-waron par faash hain asraar-e-Mustafa ﷺ
Quran ki aayaton mein sarapa dhala hua Tamseel-e-besal hai kirdar-e-Mustafa ﷺ
Sajdon ki chandni se jabeenen nikhar gayin Aankhon mein bas gaye dar-o-deewar-e-Mustafa ﷺ
Shoresh! ba faiz-e-Khwaja-e-kawnain dekh loon Jee chahta hai koocha-o-bazaar-e-Mustafa ﷺ