Khwabon mein Madine ki fiza dekhne wala Khatir mein kahan laaye ga rang-e-gul-o-lala
Nazron mein rahe jis ke jamal-e-Shah ﷺ wala Us shakhs ki duniya mein ujala hi ujala
Nabiyon mein woh bandon mein, bashar mein jahan dekho Afzal se bhi afzal hain woh aala se bhi aala
Har gaam pe aalam-o-masaib rahe darpesh Har gaam pe Sarkar-e-Do Alam ne sambhala
Roshan hai azal se jo mere goshah-e-dil mein Woh chand kisi taur nahin doobne wala
Duniya ka matlab gaar raha hai na rahe ga Sarkar ke qadmon ke nishan dhoondne wala
Paband-e-ahkam-e-Khudawand yahi hai Mehboob ﷺ Khudawand ke ahkam baja la
Ae mauj-e-saba ek fakat ek hi jalwa Ek roz Gumbad-e-Khizra ko udala
Qadmon se main masroor lipat jaaun, jo mil jaaye Sarkar-e-Do Alam ka koi chahne wala