Khwabon mein Madine ki fiza dekhne wala Khatir mein kahan laaye ga rang-e-gul-o-lala
Nazron mein rahe jis ke jamal-e-Shah-e-wala ﷺ Us shakhs ki duniya mein ujala hi ujala
Nabiyon mein, woh bandon mein, bashar mein jahan dekho Afdal se bhi afdal hain, woh aala se bhi aala
Roshan hai azal se jo mere goshay-e-dil mein Woh chand kisi tor nahin doobne wala
Duniya ka talab-gar raha hai na rahe ga Sarkar ﷺ ke qadmon ke nishan dhoondne wala
Pabandi-e-ahkam-e-Khudawandi yahi hai Mehboob-e-Khudawand ke ahkam bajala
Qadmon se main masroor lipat jaaun, jo mil jaaye Sarkar ﷺ do aalam ka koi chahne wala